agar bazm-e- insaan mai larki na hoti ... khayalon ki rangeen jannat na hoti sitaron kai dilkash fasaanay na hotai ... bahaaron ki nazuk hakeekat na hoti
jabeenon pe noor-e-musarrat na khilta ... nigahon pe shan-e-muravvat na hoti ghataaon ki aamad ko sawan tarastai .... fizaon mai behki baghawat na hoti
fakeeron ko irfaan-e-hasti na milta .... zaahidon ko ibaadat na milti musaafir sada manzilon pe bhataktai .... safeenon ko saahil ki qurbat na hoti ..
har ek phool ka rang pheeka sa hota ... naseem-e-baharan mai nighat na hoti .. khudaye ka insaaf khamosh rehta .. suna hai kisi ki shafayat na hoti ...
some side effects .. :P:P
shopping centres ki itni bharmaar na hoti larkon ki life itni mazedaar na hoti jannat sai na nikaalay jatai wo ye dunya un ki rahguzaar na hoti larkon mai kabhi war na hoti koi chaku, churi koi talwaar na hoti 2 bhayion mai kabhi na hota jhagra agar larki bech mai dewaar na hoti ...